Saturday, January 17, 2009

Badr-ud-duja

Badr-ud-duja, Shams-ud-duha, Noor-ul-hoda, Sabr-o-raza, Noor-e-chasham, Jamil-lus-sheyam, Wara-ul-wara, Lutf-o-ata, Badr-ud-duja...

Na izzat na shohrat na zar chahiye,
Mujhe aapki khake dar chahiye...

Isi dar pe ekbar jhukne ke bad,
Na utthe kabhi aisa sar chahiye...

Noor-e-mujassam, Fakhr-e-doaalam, Shafi-ul-umam, Waris-e-zamzam, Hadi-e-akram, Moonass-e-aadam, Qibla-e-aalam, Saheb-e-joodokaram, Badr-ud-duja...

Mera phir mukaddar sawar jai ga,
Mujhe aapki ek nazar chahiye...

Fizae eram mujhko bhati nahi,
Madine ki shamo sahar chahiye...

Ahsan-o-ajmal, Ahmad-e-mursal, Saheb-e-mehshar, Saqiy-e-kausar, Khulk-e-khalili, Shaan-e-kalimi, Muzammil, Mudassir, Sabir-o-shakir, Badr-ud-duja...

Tu hubbe nabi leke taiba ko chal,
Agar tujhko zaade safar chahiye...

Kaleem ab kisi shae ki hajat nahi,
Madine ki janib safar chahiye...

Badr-ud-duja, Shams-ud-duha, Noor-ul-hoda, Khair-ul-wara, Anjum-o-taban, Maah-e-farozaan, Noor-e-badaman, Subh-e-darakhshan, Daee-ill-Allah, Seeraj-un-munira, Yasin-o-Tasin, Taha-o-Tameem, Sarwar-e-konain, Salar-e-honain, Mahmood-o-Qasim, Rasul-ul-malahin, Badr-ud-duja...